Family Planning 101
Ham jaante hain ki family planning ka sahi method select karna mushkil ho sakta hai. Select karne ke liye bahut saare methods hain aur phir ye sabhi alag-alag tariqe se ek hi maqsad haasil karne ki koshish karte hain — pregnancy ke risk ko kam karna! Alag-alag methods ke baare mein jaan ne, aur aapko, aapke partner ko, aur aapki lifestyle ko suit karne vaale method ko select karne ke liye Nivi aapki madad karegi. Isliye hamne ek blog posts ki series taiyaar ki hai, jis mein ham alag-alag contraceptive methods ke baare mein baat karenge aur jaanenge ki inhen kab-kab istemaal kiya jaa sakta hai: immediate, short-term, long-term, permanent, aur natural.
Kya aap in methods ke baare mein pata karne ke liye taiyaar hain? Aage scroll karen!
Permanent Methods
Hamen ek baat to accept karni hogi. Kabhi-kabhi, aapko bas pata hota hai ki aapko bacche nahin chahiye. Ho sakta hai ki bacche hone ke idea se aapko ajeeb mahsoos hota ho. Ya ho sakta hai ki aapke pahle se bacche hain, aur aapko aur bacche nahin chahiye. Ya, ye bhi ho sakta hai ki aapke healthcare provider ne aapse kaha hai ki aap ya aapke partner ke maamle mein baccha poori term tak nahin pahunch paayega ya bacche ki delivery safe nahin rahegi. Vajah jo bhi ho, bas aapko pata hota hai: bacche hona aapke liye sahi nahin hai. Khair, koi baat nahin. 100% pakka karne ke liye ki bacche nahin hon, aap aur/ya aapke partner ke liye bilkful safe aur healthy methods available hain.
Female Sterilisation
(yaani Tubal Ligation, TL)
Jo women permanent tariqe se pregnancy se duur rahna chahti hain, unke liye “tubal ligation” available hai. Ye ek medical procedure hai, jis mein aurat ke fallopian tubes ko baandh diya jaata hai, kaat diya jaata hai ya block kar diya jaata hai (isi liye tubal ligation ko kabhi-kabhi “tubes baandhna” bhi kaha jaata hai). Fallopian tubes voh raasta hai jo aurat ke eggs ko uske womb se connect karti hain. Inke bina, aadmi ka sperm aurat ke eggs tak nahin pahunchta, aur eggs bhi aurat ke womb tak pahunch kar attach nahin hote, jo baccha hone ke liye zaroori hai.
Fayede:
Ye ovarian cancer ke khatre ko kam karta hai.
Ye pregnancy se bachne ke liye behad effective hai (99% se bhi zyaada!).
Ye permanently pregnancy se bachne mein madad karti hai; kisi aur method ki zaroorat nahin hoti.
Ise aasaani aur aaraam se baccha hone ya c-section ke baad kiya jaa sakta hai, jab aurat pahle se hi hospital ya clinic mein maujood hoti hai. Yaani, agar kisi aurat ko aur bacche nahin chahiye, to pregnancy ke dauran voh apne TL procedure ki pahle se planning kar sakti hai, ya labor ke time apne healthcare provide se request kar sakti hai.
Nuqsaan:
Ye male sterilization jitna safe, aasaan ya sasta nahin hai.
Ye aapko sexually transmitted infections (STI) se safety nahin deta hai.
Ye ek permanent method hai, aur ise reverse nahin kiya jaa sakta hai; isliye, ye zaroori hai ki procedure karvaane se pahle aap acchi tarah soch len ki aapko ab sach mein bacche nahin chahiye.
Male Sterilisation
(yaani Vasectomy)
Vasectomy male birth control ka method hai. Ye jald ho jaata hai, aur safe aur easy medical procedure hai, jis mein aadmi ke testicles ya “testes” (jinhen aqsar balls, nuts, ya stones bhi kahte hain) ko penis se connect karne vaale tube ko kaat diya jaata hai ya block kar diya jaata hai. Testicles voh jagah hai jahaan aadmi ka sperm banta hai (bahut hi chote cells jo reproduction ke liye zaroori hain). Is procedure ke baad, sexual arousal ya stimulation ke dauran ya baad mein jab aadmi ko orgasm hoga, to uske semen mein sperm nahin hoga. Bacche paida karne ke liye sperm zaroori hai—vasectomy ke baad aadmi ki partner pregnant nahin ho sakti hai!
Fayede:
Ye female sterilization se zyaada safe, easy aur sasta hai.
Ismein dard nahin hota (“cutting” se pahle jagah ko numb kiya jaata hai).
Ye fauran ho jaata hai, aur aadmi usi din ghar jaa sakta hai.
Ye pregnancy se bachne ke liye behad effective hai (99% se bhi zyaada!).
Nuqsaan:
Ye aapko sexually transmitted infections (STI) se protect nahin kar sakta.
Ye ek permanent procedure hai, aur isliye aadmi ko acche se soch lena chahiye ki unhen ab sach mein bacche nahin chahiye.
Iske natije fauran nahin milte; vasectomy ke baad, aadmi ko tab tak koi doosra birth control method istemaal karna chahiye, jab tak ki doctor ye confirm na kar len ki ab semen mein sperm maujood nahin hai. Ismein kai mahine bhi lag sakte hain. Saath hi bina protection vaale sex se pahle usko 15-20 baar ejaculate karna hoga (aise isliye zaroori hai taaki aadmi ke system mein abhi bhi maujood sperm poori tarah se baahar nikal jaaye).
Kya aap jaan na chahte hain ki aapke liye kaun sa method sahi hai, aur ise kahaan se haasil kiya jaa sakta hai? Kya aapke sex, pregnancy, STI, ya birth control ke baare mein aur bhi savaal hain? Yaad rakhen ki aap Nivi ke saath kabhi bhi WhatsApp aur Facebook Messenger ke zariye chat kar sakte hain. Ye private, confidential aur bilkul muft hai!
Comments