top of page

Sex, Gender aur Sexuality ko define karna

Sex, gender aur sexuality hamaari roz ki pahchaan ka hissa hain. Sex, gender ya sexuality kya hain, ye samajhna society ka ek zaroori pahlu hai. Inka kya matlab hai, aur har category mein kya-kya terms aate hain, ye samajh kar hamen sabko community ka hissa maan lene mein madad milti hai aur ham ek-doosre ko behtar samajh bhi paate hain. Ye article har category ke matlab ko samajhne aur in teenon groups mein aane vaali pahchaan ko define karne mein madad karega.


Haal ke saalon mein “gender”, “sex” aur “sexuality” jaise terms par media mein bahut charcha huyi hai. Aaj kal log in cheezon par zyaada discuss karte hain, sabke saamne baat karte hain aur apne doston aur family se bhi inke baare mein khul kar charcha karte hain. Ye zaroor hai ki in topics par baat karna ab common aur socially acceptable ho gaya hai, lekin abhi bhi inka sahi matlab kahin gayab ho jaata hai aur badal jaata hai. Isliye, inhen thiik se samajhna kaafi madad kar sakta hai. In words ko explain karke aur inka matlab jaan kar aap in issues ko behtar samajh paayenge aur apne nazdiki logon ke saath in par sahi se baatchiit bhi kar sakenge. To, chaliye shuru karte hain!


Gender, sex, aur sexuality itne zaroori kyon hain?


Gender, sex aur sexuality hamaari pahchaan ka hissa hain, chaahen ham is baat ko jaante hain ya nahin. Ham sab ka ek gender, ek sex, aur ek sexuality hai—bas ham iske baare mein sochte nahin hain. Aisa khaas taur par tab hota hai, jab hamaara gender aur sex ek doosre se match karta hai, ya jab hamaara gender hamaari dikhaavat ki vajah se hamaare aaspaas ke logon ko saaf zaahir hota hai. Kuch logon ke liye, ye itna aasaan nahin hota.


Iske alaava, sexuality ek chupa huaa trait hai; kisi ko dekhne se iske baare mein nahin pata chalta. Aur kai logon ke liye, apni sexuality ko samajh paana mushkil ho sakta hai. Voh bhi hamaari society ka ek aham hissa hain. In categories ka matlab samajh kar aur in categories mein aane vaale terms ka matlab samajh kar, ham khud ko behtar samajh sakte hain, aur saath hi aisi community bana sakte hain jismein sabko shaamil kiya jaaye, sabko accept kiya jaaye, aur kisi ko bhi alag nahin kiya jaaye.


Sex hamaari physical features par depend karta hai, aur aamtaur par hamaare paida hone ke vaqt hamen assign kiya jaata hai. Ek insaan ko assign kiya gaya sex uska “natal sex” kaha jaata hai aur ise teen options mein divide kiya jaa sakta hai:



  • Male → ek aadmi ya ladka jo penis aur testicles jaise physical features ki vajah se sperm bana sakt hai


  • Female → ek aurat ya ladki jo uterus aur vagina jaise physical features ki vajah se eggs produce kar sakti hai ya reproduce kar sakti hai

  • Intersex → ek aisa insaan jiski body ke andar aur baahar alag-alag sex features hote hain. Genitals, chromosomes, andruuni sex organs aur kaafi kuch mein differences ho sakte hain!

Gender ek spectrum hai aur is par depend karta hai ki aap khud ke liye kya pahchaan chaahte hain. Kuch log usi gender ke saath apni pahchaan rakhte hain jiske saath voh paide huye, aur kuch log alag gender ke saath. Ham pahle hi male, female aur intersex ko define kar chuke hain, lekin niiche kuch aur gender identities ke baare mein bataaya gaya hai:

  • Transgender → ye voh log hain jinki gender identity unki birth sex se alag hoti hai. Kuch log chaahte hain ki unke physical features unke andar ki feelings ke saath match kare, aur isliye vo khaas body parts ka operation bhi karvaate hain.

  • Nonbinary → ye voh log hain jo male ya female ke taur par khud ko nahin pahchaante hain. Non-binary log khud ko male aur female donon ki tarah define karte hain, ya in categories se baahar, ya donon ke biich mein kahin!


  • Genderqueer → khud ko genderqueer samajhne vaale log binary categories ko reject karte hain aur gender ki fluidity ko apnaate hain, jaisa hamne kaha gender ek spectrum hota hai. Genderqueer log khud ko male aur female donon ki tarah define karte hain, ya in categories se baahar, ya na male aur na female.

  • Agender → ye voh log hain jo khud ko kisi khaas gender ke saath identify nahin karte.


  • Cisgender → is term ka istemaal ek aise insaan ko describe karne ke liye kiya jaata hai jiska gender uske birth sex se match karta hai. Aabaadi ka bada hissa khud ko cisgender samajhta hai.

  • Genderfluid → ye voh log hain jinka gender lagaatar badalta rahta hai – ye log kisi fixed gender ke saath khud ki pahchaan nahin rakhte.

Sexuality insaan ki gender identity se related hoti hai kyonki ye us gender ya genders se connected hai jiski tarah voh attracted mahsoos karte hain. Gender ki tarah, sexuality bhi alag-alag identities ke saath ek spectrum hai. Niiche kuch sexual identities aur unke baare mein bataaya gaya hai:

  • Gay → ek aisa insaan jo same gender ke insaan ki taraf emotionally, romantically aur/ya sexually attract ho. “Gay” term aamtaur par males ki taraf attract hone vaale males ke liye istemaal hota hai, lekin ise same gender ki taraf attraction mahsoos karne vaale har insaan ke liye bhi istemaal kiya jaata hai.

  • Lesbian → ek female jo doosri female ki taraf emotionally, romantically aur/ya sexually attract hoti hai.



  • Bisexual → ye voh log hain jo ek se zyaada gender ki taraf emotionally, romantically aur/ya sexually attracted mahsoos karte hain. Aamtaur par ye un logon ko refer karta hai jo apni hi sex ya opposite sex ke logon ki taraf attraction mahsoos kar sakte hain.

  • Asexual → ye voh log hain jinka doosre ke saath sexual activities mein bilkul interest nahin hota ya partial interest hota hai. Sexuality ki tarah, asexuality bhi spectrum par hoti hai, yaani kuch log kuch had tak, bahut thoda, ya bilkul sexual attraction mahsoos nahin karte, lekin phir bhi romantic attraction mahsoos kar sakte hain.

  • Pansexual → ye voh log hain jo doosre logon ki taraf sexually, romantically aur/ya emotional attracted mahsoos karte hain, chaahe unka sex ya gender identity koi bhi ho. Pansexual khud ko kabhi-kabhi “gender-blind” kahte hain kyonki inke liye kisi insaan ki taraf attraction mahsoos karna gender aur sex par depend nahin karta.

  • Queer → is term ka istemaal kai tarah ki gender identity aur sexuality ko refer karne ke liye kiya jaata hai jo common genders aur sexualities (jaise straight male) se alag hoti hain.

  • Demisexual → ye voh log hain jo kisi insaan ki taraf pahle emotional attraction mahsoos karte hain aur uske baad sexual attraction mahsoos karte hain. Gay, straight, bisexual, pansexual, koi bhi demisexual ho sakta hai, bas inke liye pahle emotional attraction hota hai aur phir relationship mein sexual intimacy aati hai.

Kul milaa kar, sex, gender aur sexuality ko celebrate kiya jaana chahiye! Aap jo bhi hain, aapko jo koi bhi pasand hai, aapki identity koi bhi hai, aapko is par naaz hona chahiye. Agar aap apni pahchaan ke baare mein confused hain ya apni pahchaan ko lekar aapko uncomfortable mahsoos hota hai, to yaad rakhen har cheez main time lagta hai aur ye ek aisa safar hai jiski duuri aapko khud tay karni hogi. Upar dii gayi list mein sirf labels hain, aur agar aap kisi label ke saath comfortable nahin hain, to voh bhi thiik hai! Lekin, sabko community mein shaamil karne aur unhen safe mahsoos karvaane ke liye, ye zaroori hai ki voh jo bhi idenity select karen, usko respect kiya jaaye.




Kya aap kuch aur jaan naa chahte hain? Kya sex, STI, HIV/AIDS, ya birth control ke baare mein aapke koi savaal hain? Yaad rakhen aap kabhi bhi Nivi ke saath WhatsApp aur Facebook Messenger par chat kar sakte hain. Ye private, confidential aur bilkul muft hai!


Comments


bottom of page